Skip to content Skip to left sidebar Skip to footer

Tag: Mianwal Ranjha

Mianwal Ranjha mandi bahauddin

Mianwal Ranjha میانوال رانجھا

Mianwal Ranjha میانوال رانجھا

By: Saqib Hayat (Saqi)

Location:

Mianwal Ranjha میانوال رانجھا  is a beautiful village situated on Sargodha Gujrat link road. Its just 7 kilometer away  from Kuthiala Shaikhan in the south.

Mianwal Ranjha info:

Mianwal Ranjha mbdin ka khobsurat kasba aur bary kasbon main se aik kasba hay. Is ki abaadi takreeban 23,000 hay aur pehla kasba jis ki aik union council hay. Yeh wahid kasba hay jis main 22 masjden hain, jin main koi tafraka bandi nahi. Yahan 3 madresy hain.

  • Siraj-ul-huda
  • Imdadiya
  • Addy wala

In teeno main se Siraj-ul-huda sab se bara hay, es main Hafiz aur Deeni taleem ke sath sath F.A tak taleem di jati hay.

Mianwal Ranjha mandi bahauddin

Personalities:

  • Ch. Imtiaz Ahmad Ranjha (Ex. MPA)
  • Ch. Ijaz Ahmad Ranjha
  • Ch. Zia-ullah Ranjha (Advocate)
  • Dr. Khalid Ranjha (MBBS)
  • Hafiz Inayat-ullah (Nazim UC Mianwal)
  • Qari Ashraf Sahib (Mohtamim of Sharki Masjid)
  • Abdul Majid Sahib (Sarprast Aa’la of Jamia Siraj-ul-Huda)
  • Ch. Liaqat (Judge)
  • Muhammad Arshad Gul Ka
  • Muhammad Hayat (L.M Wapda)

70% abaadi educated hay aur 30% zaraat se wabsta hay. Yahan ki faslon main

  • Gundam
  • Chawal
  • Gunna
  • Kappas
  • Sabziyan

hain. Yahan per Main Market hay jahan aas pas ke gaaon ke log khreedari karny ke liye aaty hain. Yahan per Govt ke 5 schools hain jin main se 2 primary boys aur aik girls ka hay

  1. Govt. Islamia High school for boys
  2. Govt. Girls Higher Secondary School for Girls

Collage for women ki building ko 8 saal Mukammal howy ho gaey hain Lekin classes shuro nahi hoien na amla bheja geya hay jis ki amart ab takreeban toot chuki hay.

Private Schools:

Yahan 7 Private Schools hain jin main Ghazali School aur Siraj-ul-Huda Secondary School sare fehrest hain.

Hospital:

Yahan Govt ka Basic Health Unit hay jis main aik MBBS Doctor apny fariaz ada kar rha hay. Is ke nazdeek animal hospital hay jis main kareebi gaaon ke log janwar le kar aty hain.

May Allah Bless This Village (AAMEEN)


Information was provided by Saqib Hayat (Saqi)