Skip to content Skip to left sidebar Skip to footer

Eid Ul Fitr Ki Namaz Ka Tarika In Urdu – Eid Ki Namaz Padhne Ka Tarika

eid ki namaz padhne ka tarika

Eid ki Namaz Ka Tarika 2023

If you want to how How to Pray Eid Ul Fitr Namaz 2023 in urdu or Eid Ul Adha namaz 2023 in urdu, then you are on the right forum. In this article we will teach you how to pray Eid Namaz in urdu or Eid ki namaz ka tarika 2023. Eid is the biggest and an important event in Islamic history for Muslims.

Eid ki Nimaz ka Tarika in Urdu

  • Eid Ul Fitr aur Eid Ul Azha ki nimaz ka aik he tareeka hai.
  • Namaz-E-Eid Khutba se pehle parhi jati hai.
  • Eid ki nimaz ba jamaat parhna lazam hai. Akeela admi baghair jamat kay nahi parh sakta.
  • Eid ki nimaz se pehle Azan aur Aqamat nahi kahi jati.
  • Eid ki nimaz Do Rakat ki hoti hai. Jiss main 6 zaid takbeeren kahi jati hai. 3 takbeeren pehli, pehli rakat main Sanaa kay baad aur Qirat se shuru kerne se pehle aur 3 takbeeren dosri takat main Qirat khatam kerne kay baad Rakoo se pehle.
  • Zaid takbeeren kehte waqat hath kanoon tak uthaye jate hain.

Eid Ul Adha

How to pray Eid Ul Fitr Nimaz 2023

  1. Pehle niyat ker lain “Main ne Eid Ul Fitr ya Eid Ul Azha ki do rakat nimaz wajab bama 6 zaid takbeeron kay imaam kay peche ada kerne ki niyat ki”.
  2. Arbi main niyat aise ki jati hai “بویت ان اصلی اللہ تعالی رکعتی الواجب لصلوۃ العید مع سنت تکبیرات واجبۃ زائدۃ خلف الامام “ niyat kay alfaaz ka zehan main soch lena kafi hai. Zuban se ada kerna zaroori nahi hai.
  3. Niyat kerne kay baad imam ki takbeer-e-tehreema kay sath aap bhe kanoon tak hath utha ker takbeer kahain aur hath bandh lain.
  4. Phir Sanaa perh ker imam sahab kanoon tak hath utha ker takbeer kahain ge aur hath khule chor dain ge.
  5. Phir dosri takbeer bhe kaan tak hath utha ker kahain ge aur hath chor dain gee.
  6. Phir teesri takbeer kanoon tak hath utha ker kahain ge aur hath bandh lain gee. Aap bhe imam ko follow kerin, her takbeer kay baad itni dair therna hai kitni dair main teen martaba Subhan Allah kaha ja sake.
  7. Ab Imam sahab “اعوذ باللہ، بسم اللہ” parh ker qirat kerin gee. Aap ne khamoshi kay sath qirat sun’ni hai. Aam nimazon ki tarah rakoo aur sajda main imam kay sath shamil rahain aur dosri rakat kay liye khare ho ker imam ki qirat ko sun’te rahain.
  8. Imam qirat mukamal ker kay rakoo main jane se pehle teen takbeeren kahain gee aur pehle ki tarah hath kanoon tak utha ker chor dene hain.
  9. Iss kay baad chothi takbeer main hath kanoon ko laga ker rakoo main jayen gee aur aam nimaz ki tarah sajdah, tashad se farigh ho ker salaam phair dain gee.
  10. Eid Ul Azha ki nimaz kay baad Takbeerat tashreek perhna wajib hai.
  11. Nimaz se farigh ho ker dua mang sakte hain aur khutba kay baad bhe dua mangi ja sakti hai.
  12. Qabooliat ka waqat hai iss liye apne liye aur apne khandan kay liye aur ummat e muslima kay liye dua mangain.

Please share this article to those who don’t know how to perform Eid Prayer in urdu and spread the great knowledge. Thank you If you have any query about this article, don’t hesitate to ask. Please comment you queries, we will answer your queries as soon as possible. Thank you

 

0 Comments

There are no comments yet

Leave a comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.